Tuesday, October 15, 2013


Pyaar...pyaar naahi un teen shabdon main hain aur naahi aashique 2 ke gaano main...na bin mausam ke baarish main pyaar hain aur naahi geele mitti ki kushboo main...na paas wale gali ke golgappe ki dukaan main pyaar hain aur naahi waha ke bajo ki dukaan ke garam garam jilebiyon main..na pizza share karne main pyaar hain aur naa hi ek hi nariyal me 2 straw daal ke ek saath nariyal paani pine me hai ...na woh pehli nazar main pyaar hain aur naahi tumhare izhaar main...na mereliye tumhare tareef karne main pyaar hain aur naahi mere sharmakar muskurane main...na tumhare gusse main pyaar hain naahi tumhare khayal karne main...na baat baat par tumhare chid jaane main pyaar hain..aur naahi ruthi hui mujko tumhara manane main pyaar hain..pyaar naahi shero shayari main hain aur naahi kitabon main...na tumhare diye hue taufon main pyaar hain aur naahi tumhare yaadon main...na tumaare hazi mazaak main pyaar hain aur naahi humaare ek dusre ke saath bitaye hue palon main pyaar hain...na tumhare kiye gaye waadon main pyaar hain aur naahi tumhare nek iraadon main pyaar...na tumhare intezaar main pyaar hain aur naahi tumhare pyaari pyaari baaton main..na tumhare bina mushqil se bite hue un lamhon main pyaar hain..aur na un aasuo main pyaar hain..na tumhare lautke aane main pyaar hain aur na woh kushi ke palon main pyaar hain..naa vivah jaise pavitra rishtein main pyaar hain aur naahi ek dusre se kiye gaye waade kasmon main pyaar hain..na hum donon ke milan main pyaar hain aur naahi puri zindagi saath nibhaane main pyaar hain...na rishta jodne main pyaar hain na rishta nibhane main pyaar hain... . . pyaar ka koi naam nahi hota koi pehchaan nahi hoti...pyaar tho bas pyaar hain jo sirf mehsoos kiya jaata hain aur jo bas....ho jaata hain..!!!! <3 <3

3 comments:

Anonymous said...

<3

bharat said...

koncham telugu lo chepppu mujhe hindi maloom nahi...!!

bharat said...
This comment has been removed by the author.